ek aur din guzar gaya
kuch yaadein dhundhali hui
aur kuch khawab taza ho gaye
na jane uper wala kya chahta hai
aaj phir main ek nayi manzil ke rastey mein kho gaya
na jane puraney khawabon ko kya ho gaya
ek nanha sa hawa ka jhonka sab uda gaya
ek aur din guzar gaya...
Tuesday, March 4, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
fakiro ke din kuch aaise guzar jaate hia,
armaan dil ke, dil main hee poore ho jaate hia,
karke aankhen band, maangi jo us se dua,
dekhegaa tu, aansoon kaise khaak main badal jaate hai
Post a Comment