Thursday, June 5, 2008

क्यों हम........

kyun insaan ek doosree mein kamiyan doondta hain
kyun hum aksar logon ki karni ko accha bura kehtey hai
kyun hum khud ko nahi dekhtey
kyun sheesha humein jhootha akas dikhata hai
hum kyun nahi samajh saktey ki sab insaan hai
kyun insaan aksar insaniyat bhool jata hai
hum sab jantey hai phir bhi koi nahi janta
kyun rab humsey yeh sab karwata hai
us se kabhi mil saka toh puchoonga
kyun hum aisa kartey hai.....

Tuesday, March 4, 2008

ek aur din guzar gaya

ek aur din guzar gaya
kuch yaadein dhundhali hui
aur kuch khawab taza ho gaye
na jane uper wala kya chahta hai
aaj phir main ek nayi manzil ke rastey mein kho gaya
na jane puraney khawabon ko kya ho gaya
ek nanha sa hawa ka jhonka sab uda gaya
ek aur din guzar gaya...