pathjhad ki ruat thi, padeon ki daalein sukh chuki thi
subah subha oas ki boondein bhi jam jati thi
mano zindagi jaise ruk gayi ho..
oas ki shabnam ki saadgi mano barf ney cheen li ho
barf ney mano zindagi ke dukh dhanp liye ho...
sab shant shant sa tha
phir bhi ek sanata ghunj raha tha...
yeh sabe mere man key mano halat bayan kar rahey they...
kudrat toh jaise mere har hisse sey rubaru thi....
Sunday, December 23, 2007
ek chehra
ek chehra aksar soch mein daal deta hai
woh chehra pata nahi kanha hai, yaan phir yahi kahi hai...
kabhi woh khuli aankh ka khawab lagta hai
kabhi woh ek bhuli bisri yaad jaisa dikhta hai..
woh chera kahi toh hai..kabhi toh dikhega..
woh chehra kahi hoga to zarror....

chudiyan
chudiyan bhi ajeeb gehna hai
kahi hansi ka karan kahi aansu chalka deti hai
maang toh jaise iski judwa hai
maang bhari ho toh chudiyan khanakti hai
kahi inki khan-khanahat kano mein shehad gholti hai
kahi ye toot kar kalai per lahoo bikher deti hai
yeh sawan ka inder-dhanush bhi hai
aur bina badal ka assmaan bhi
inki kimat kuch bhi nahi, per inka koi mol bhi nahi
yeh chudiyan khanakti hi achi lagti hai
yeh chudiyan bhi ajeeb hoti hai.....

Subscribe to:
Posts (Atom)